-
03-20-2017, 01:30 PM #1
Ghazal Shayari: Lakh mismaar kiye jayen zamaane wale..
Lakh mismaar kiye jayen zamaane wale,
Aa hi jaate hain neya sheher basaane wale,
Us ki zad pr woh kabhi khud bhi to aa sakte hain,
Yeh kahan jante hain aag lagane wale,
Ab to sawan bhi barood barasta hai,
Ab woh mausam nahin barish main nahane wale,
Sar se jata hi nahin wada-e-fardaa ka junoon,
Mar gaye adal ki zanjeer hilaane wale,
Hum na kehte thay tujhe, waqt bohat zalim hai,
Kya huye ab woh tere naaz uthane wale,
Saaye main bethi huyi nassal ko maloom nahin,
Dhoop ki nazar huye pairr lagane wale,
Ghar main deewaren hain aur sehn main ankhen hain saleem,
Itne azaad nahin waada nibhaane wale..
…
The post Lakh mismaar kiye jayen zamaane wale.. appeared first on Ranjish.com.
03-20-2017 01:30 PM # ADS
Thread Information
Users Browsing this Thread
There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)
Visitors found this page by searching for:
mismaar
,lakh urdu poetry
,download takreer in urdu unwan mar gye adal ki zanjeer halaany waly
,Lakh mismaar kiye jayen zamaane wale mp3